Gairom pe karam apno pe sitam
Movie Title: Ankhen
Year of the Movie Release: 1968
Music Director: Ravi
Lyrics by: Sahir Ludhianvi
Co-singers: None
Mood of the Song: Party Song
Lyrics of the Song:
Gairo pe karam apno pe sitam, eh jan-e-wafa ye zulm na kar
Gairo pe karam apno pe sitam, eh jan-e-wafa ye zulm na kar
Gairo pe karam apno pe sitam, eh jan-e-wafa ye zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam, eh jan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Gairo pe karam apno pe sitam, eh jan-e-wafa ye zulm na kar
Ham chahne wale hain tere, yu hamko jalana thhik nahi
Mehfil mein tamasha ban jaye, is darja satana thhik nahi
Is darja satana thhik nahi
Mar jayenge ham, mit jayenge ham
Eh jan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Gairo pe karam apno pe sitam, eh jan-e-wafa ye zulm na kar
Ye zulm na kar
Gairo ke thirakate shaano par, ye haath ganvaaraa kaise kare
Gairo ke thirakate shaano par, ye haath ganvaaraa kaise kare
Har baat gavaaraa hai lekin, ye baat gavaaraa kaise kare
Ye baat gavaaraa kaise kare
Tujh ko terii bedardii ki qasam
Ai jaan-e-vafaa ye zulm na kar,
Gairon pe karam, apano pe sitam, ai jaan-e-vafaa, ye zulm na kar, ye zulm na kar,
Ham bhi the tere manzur-e-nazar, ji chaha to ab iqrar na kar
Sau tir chala sine pe magar, begano se milkar war na kar
Begano se milkar war na kar
Be-maut kahi mar jaye na ham, eh jan-e-wafa ye zulm na kar
Gairon pe karam, apano pe sitam, ai jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam, eh jan-e-wafa ye zulm na kar
Ye zulm na kar.
Trivia: