HONI TO HOKE RAHE

Movie Title:  Suraj aur chanda

Year of the Movie Release:  1973

Music Director:  Laxmikant Pyarelal

Lyrics by:  Anand Bakshi

Co-singers:  Mukesh

Mood of the Song:  Religious Songs

Lyrics of the Song

Honi to ho ke rahe

Honi to ho ke rahe anahoni na hoye

Jako rakhe saiyaa mar sake na koye

Jako rakhe saiyaa mar sake na koye

Honi to ho ke rahe

Honi to ho ke rahe anahoni na hoye

Jako rakhe saiyaa mar sake na koye

Jako rakhe saiyaa mar sake na koye

 

Kans ne kitne jatan kiye re bhaiya

Kans ne kitane jatan kiye lekin tumane dekha

Sau talvare mita saki na bhagya ki ek bhi rekha

Sau talvare

Kishan ka aisa janam hua

Atyachar yun khatm hua

Bandighar ke dwar khule aur paharedar soye

Jako rakhe saiya mar sake na koye

Jako rakhe saiya mar sake na koye

 

Chhut gayi jinse apne re bhaiya

Chhut gayi jinse apne

Bachpan ki sundar galiya

Bagiya ke badle ban me dekhi khilti vo kaliya

Bagiya ke badle

Khel hai jog sanjog ka

Sach kahna hai logo ka

Rit atal ye jivan ki koi hanse ya roye

Jako rakhe saiya mar sake na koye

Jako rakhe saiya mar sake na koye

 

Hath samay ka is dunia me

Hath samay ka is dunia me koi rok na paya

Dhokha dene vaale ne ek din khud dhokha khaya

Dhokha dene vaale ne ek din khud dhokha khaya

Aaj mile ya chahe kal

Milta hai karmo ka phal

Phul vo kaise payega jisne ho kaate boye

Jako rakhe saiya mar sake na koye

Jako rakhe saiya mar sake na koye

Honi to ho ke rahe anahoni na hoye

Jako rakhe saiyaa mar sake na koye

Jako rakhe saiyaa mar sake na koye.

Trivia

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *