Ae chand zara sunle

Movie Title:  Pyar ki manzil

Year of the Movie Release:  1950

Music Director:  Husnlal Bhagatram

Lyrics by:  Shewan Rizvi

Co-singers:  None

Mood of the Song:  Husnlal

Lyrics of the Song

Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Tujh par bhi jawaani hai
Tujh par bhi jawaani hai
Apna bhi zamana hai
Apna bhi zamana hai
Ae chand zara sun le

Ek husn ka panaghat par
Ek husn ka panaghat par
Ik husn ki rani thi
Khamosh nigahe thi
Khamosh nigahe thi
Gurabat mein jawaani thi
Khamosh nigaho ka
Kuch hal sunana hai
Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Ae chand zara sun le

Anjaan ki nazaro mein
Anjaan ki nazaro mein
Kuch aisi huyi baate
Pahechani huyi jaise
Pahechani huyi jaise
Hoti hai mulakate
Kya dil mein kisi ke tha
Yeh dil ne hi jana hai
Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Ae chand zara sun le

Aankhon se humari wo
Aankhon se humari wo
Tasveer nahi jati
Pehle ki tarah hum ko
Pehle ki tarah hum ko
Kyu neend nahi aati
Wo aur zamana tha
Yeh aur zamana hai
Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Tujh par bhi jawaani hai
Tujh par bhi jawaani hai
Apna bhi zamana hai
Apna bhi zamana hai
Ae chand zara sun le.

Trivia

Pyar Ki Manzil is a movie directed by Keki Mistry featuring Munawar Sultana, Rehman.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *