Teri ankhon ka rang nirala
Movie Title: Barood
Year of the Movie Release: 1960
Music Director: Khaiyyaam
Lyrics by: Hasrat Jaipuri
Co-singers: Mohammad Rafi
Mood of the Song: Romantic
Lyrics of the Song:
teree aankho kaa rang nirala hai – (2)
meree aankho me too matwala hai – (2)
teree ulfat se dil me ujala hai – (2)
dil ki naiya kaa too rakhwala hai – (2)
phul sa chehara honth gulabi, hosh ganva de nain sharabi
too hai dil me aankh ke til me, jaise rahi ho manjil me
too hai dil me aankh ke til me, ho ho ho
teree aankho kaa rang nirala hai
meree aankho me too matawala hai
teree ulfat se dil me ujala hai – (2)
dil ki naiya kaa too rakhwala hai – (2)
chand gagan me phul chaman me, lekin too hai mere man me
pyar ke badra aankho ke kajra, dal gale me banho ke gajra
pyar ke badra aankho ke kajra, ho ho ho
teree aankho kaa rang nirala hai
meree aankho me too matawala hai
teree ulfat se dil me ujala hai – (2)
dil ki naiya kaa too rakhwala hai – (2)
Trivia: