Tum akele to kabhi baagh
Movie Title: Aao pyar karen
Year of the Movie Release: 1964
Music Director: Usha Khanna
Lyrics by: Rajinder Krishan
Co-singers: Mohammad Rafi
Mood of the Song: Romantic Song
Lyrics of the Song:
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Aaj kal phool bhi dilwaale huaa karte hai
Koyi kadmo se lipat baitha to phir
To bhir kyaa hogaa
To phir kyaa hoga
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Aaj kal kaliyaan badi shokh hua kartin hain
Koyi shokhi pe utar aayi to phir
To phir kyaa hoga
To phir kyaa hoga
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Tum kabhi zulf ko chehre pe giraayaa na karo
Tum kabhi zulf ko chehre pe giraayaa na karo
Baaz dil waale bhi kamzor hua karte hain
Koyi naagin jo samjh baitha to phir
To phir kyaa hoga
To phir kyaa hoga
Mehfil e husn ki chilman ko uthaayaa na karo
Mehfil e husn ki chilman ko uthaayaa na karo
Bijliyaan kaali ghataaon mein chhupi hoti hain
Koyi chupke se chamak jaaye to phir
To phir kyaa hogaa
To phir kyaa hogaa
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Tum kabhi aankh me kaajal bhi lagaayaa na karo
Tum kabhi aankh me kaajal bhi lagaayaa na karo
Inhin aankhon ke jareechon me to ham baste hain
Saath kaajal ke jo bah nikle to phir
To phir kyaa hogaa
To phir kyaa hogaa
Haay hoy
Husn waalon ke muqaabil kabhi aaya na karo
Husn waalon ke muqaabil kabhi aaya na karo
Sharbati aankhon ke doron me nashaa hota hai
Bin piye hi jo bahak jaao to phir
To phir kyaa hogaa
To phir kyaa hogaa
Tum akele to kabhi baagh me jaya na karo
Trivia: