Dhadka hai dil men pyar tumhara
Movie Title: Jaal
Year of the Movie Release: 1967
Music Director: Laxmikant Pyarelal
Lyrics by: Raja Mehdi Ali Khan
Co-singers: None
Mood of the Song: Romantic song
Lyrics of the Song:
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Mahabub ki nigaah e karam kaisi chiz hai
Mahabub ki nigaah e karam kaisi chiz hai
Wo ek pal to chaand se humako aziz hai
Jo hamane unake ghar mein guzara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Aae hai ham sharaab e mohabbat piye huye
Aae hai ham sharaab e mohabbat piye huye
Aankho me ik khumar ki duniya liye huye
Dil mangata hai unaka sahara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitaara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Betabiyan raato hame ab jagayegi
Betabiyan raato hame ab jagayegi
Aaenge jab wahan se to yade bulayegi
Chahega ji ke jaaen dubara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Abhi abhi, abhi abhi, abhi abhi.
Trivia: