Dilli Hai Dil Hindustan Ka
Movie Title: Patang
Year of the Movie Release: 1960
Music Director: Chitragupta
Lyrics by: Rajendra Krishan
Co-singers: Mukesh
Mood of the Song: Patriotic Song
Lyrics of the Song:
Dilli hai dil Hindustaan ka
ye to teerath hai saare jahaan ka
Dilli hai dil Hindustaan ka
ye to teerath hai saare jahaan ka
Dilli hai dil Hindustaan ka
kehne ko chhota sa ik naam hai ye
socho to is ke hain matlab hazaar
kehne ko chhota sa ik naam hai ye
socho to is ke hain matlab hazaar
dil se bana hai Dilli jabhi to
karta hai dil se sabhi ko yeh pyaar
dil se bana hai Dilli jabhi to
karta hai dil se sabhi ko ye pyaar
pyaara hai Roos, Ingalistaan ka
ye to teerath hai saare jahaan ka
Dilli hai dil Hindustaan ka
ye to teerath hai saare jahaan ka
Dilli hai dil Hindustaan ka
bikhra hai itihaas galiyon mein is ki
sadiyon ke baaqi yahaan par nishaan
bikhara hai itihaas galiyon mein is ki
sadiyon ke baaqi yahaan par nishaan
hogi kashish kuchh maati mein is ki
Baapu ne tyaage yahin par jo praan
hogi kashish kuchh maati mein is ki
Baapu ne tyaage yahin par jo praan
kya kehna is ki shaan ka
ye to tirath hai saare jahaan ka
dilli hai dil Hindustaan ka
ye to teerath hai saare jahaan ka
Dilli hai dil Hindustaan ka
charcha hai is ka saare jahaan mein
beshaq yahi to hai Bhaarat ka taaj
charcha hai is ka saare jahaan mein
beshaq yahi to hai Bhaarat ka taaj
shobha hai is taaj ki vo jawaahar
jis ka hamaare dilon par hai raaj
shobha hai is taaj ki vo jawaahar
jis ka hamaare dilon pe hai raaj
rakshak wo Bhaarat ki aan ka
ye to teerath hai saare jahaan ka
Dilli hai dil Hindustaan ka
ye to teerath hai saare jahaan ka
Dilli hai dil hindustaan ka
Trivia: