Maine maa ko dekha hai maa ka pyar
Movie Title: Mastana
Year of the Movie Release: 1970
Music Director: Laxmikant Pyarelal
Lyrics by: Anand Bakshi
Co-singers: None
Mood of the Song: Sad Song
Lyrics of the Song:
Maine maa ko dekha hai, dekha hai maa ko dekha hai
Maa kaa pyar nahee dekha
Maine maa ko dekha hai, maa kaa pyar nahee dekha
Maine phul toh dekhe hain, dekhe hain phul toh dekhe hain
Phulon kaa har nahee dekha
Maine maa ko dekha hai, maa kaa pyar nahee dekha
Maine maa ko dekha hai
Vaise toh ghar mai maa kee tasvir hai
Vaise toh ghar mai maa kee tasvir hai
Lekin meree kab aisee takdir hai
Kabhee jo ghabraun, gale se lag jaon
Agar naa nind aaye, to lori woh gaye
Meree mann jiska pyasa hai, pyasa hai jiska pyasa hai
Woh lad dular nahee dekha
Maine maa ko dekha hai, maa kaa pyar nahee dekha
Maine maa ko dekha hai
Vaise toh meree maa kaa dil koi sakt nahee
Vaise toh meree maa kaa dil koi sakt nahee
Par uske pas jara bhee wakt nahee
Hai uska nam bada, hai usako kam bada
Woh devi mamta kee, hai leader janta kee
Maa ke photo ke bina, bina jee photo ke bina
Koi akhbar nahee dekha
Maine maa ko dekha hai, maa kaa pyar nahee dekha
Maine maa ko dekha hai
Pyaree pyaree hai woh bholee aisee hai
Pyaree pyaree hai woh bholee aisee hai
Pan aaya se poochha kee baby kaisee hai
Meree maa sachi hai, badee hee achhi hai
Yeh uska dosh nahee, use kuchh host nahee
Maa ne duneeya dekhee hai, dekhee hai duneeya dekhee hai
Ghar sansar nahee dekha
Maine maa ko dekha hai, maa kaa pyar nahee dekha
Maine phul toh dekhe hain, dekhe hain phul toh dekhe hain
Phulon kaa har nahee dekha, maine mann ko dekha hai.
Trivia: