Piya kaise miloon
Movie Title: Saranga
Year of the Movie Release: 1960
Music Director: Sardar Malik
Lyrics by: Bharat Vyas
Co-singers: Mohammad Rafi
Mood of the Song: Sad Song
Lyrics of the Song:
saajan ye mat jaaniyo
Piya kaise milu tumse mere paanv padi zanjeer
Hriday men agni sulage nainan se barsen neer
Mere paanv padi zanjeer
duniya se hai kya shikwa, meri rooth gayi taqdeer
Laakh jatan kar haar gaya, soojhe na koi tadbeer
Meri rooth gayi taqdeer

kaise door karu ye doori, samajh nahi main paati ji -2
Jo main hoti ban ki chidiya, pankh laga ud aati
Udane lagi thi ud na saki, qismat ne mara teer
Piya kaise milu tumse mere paanv padi zanjeer
Hriday men agni sulage nainan se barsen neer
Mere paanv padi zanjeer
duniya se hai kya shikwa, meri rooth gayi taqdeer
Laakh jatan kar haar gaya, soojhe na koi tadbeer
Meri rooth gayi taqdeer
phool mile kam, kaante zyada beej ye kaisa boya ji o
maalik tere jag men, jisne pyaar kiya vo roya
Aansu ke rangon men rang daali pyaar ki ye tasveer

Trivia: