Sawan ka mahina

Movie Title:  Milan

Year of the Movie Release:  1967

Music Director:  Laxmikant Pyarelal

Lyrics by:  Anand Bakshi

Co-singers:  None

Mood of the Song:  Romantic song

Lyrics of the Song

Hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm………….

Sawan ka mahina, pawan kare sor

Sawan ka mahina, pawan kare shor

Amm hmm, pawan kare sor, pawan kare shor

Arey baba shor nahin, sor, sor, sor

Pawan kare sor, haan……

Jiyara re jhume aise, jaise banama naache mor

Sawan ka mahina, pawan kare sor

Jiyara re jhume aise, jaise banama naache mor

Sawan ka mahina, pawan kare sor

Jiyara re jhume aise, jaise banama naache mor

 

Raama gajab dhaaye yeh purwaiyya

Naiyya sambhalo kit khoye ho khiwaiyya

Raama gajab dhaaye yeh purwaiyya

Naiyya sambhalo kit khoye ho khiwaiyya

Hoy purwaiya ke aage chale naa koyi jor

Jiyara re jhume aise, jaise banama naache mor

O o o….. Sawan ka mahina, pawan kare sor

Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor

 

Maujawa kare kya jaane hamko isaara

Jaana kaha hai puchhe nadiyaa ki dhaara

Maujawa kare kya jaane hamko isaara

Jaana kaha hai puchhe nadiyaa ki dhaara

Marji hai tumhari le jaao jis or

Jiyara re jhume re aise re jaise banama naache mor

O o o….. Sawan ka mahina, pawan kare sor

Jiyara re jhoome aise, jaise banmaa naache mor

 

Jinake balam bairi gaye hain bideswa

Aaye hain leke unake pyaar ka sandeswa

Jinake balam bairi gaye hain bideswa

Aaye hain leke unake pyaar ka sandeswa

Kaari matwaari ghataaye ghan ghor

Jiyara re jhume aise jaise banama naache mor

Sawan ka mahina, pawan kare sor

Jiyara re jhume aise, jaise banama naache mor

Jiyara re jhume re aise re jaise banama naache mor.

Trivia

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *