Tujhe chand kahoon ya
Movie Title: Sunehre nagin
Year of the Movie Release: 1963
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics by: Farooq Qaisar
Co-singers: Mukesh
Mood of the Song: Playful Song
Lyrics of the Song:
tujhe chand kahu ya phul kahu
tujhe chand kahu ya phul kahu
mere pyar ka koi nam nahi
haye nam nahi
mai teri najar me bas jau
mai teri najar me bas jau
dunia se mujhe koi kam nahi
haye kam nahi
julfo ki chamak ye kahti hai
tu koi sunhari nagin hai
julfo ki chamak ye kahti hai
tu koi sunhari nagin hai
har saas me shola tadpe hai
har geet me dil ki dhadkan hai
har geet me dil ki dhadkan hai
aankho me nasha sa chaya hai
or mere hath me mere jam nahi
haye jam nahi
mai teri najar me bas jau
dunia se mujhe kam nahi
haye kam nahi
do char ghadi ka milna ye
ab sari umar ka bandhan hai
do char ghadi ka milna ye
ab sari umar ka bandhan hai
tum nam wafa ka lete ho
dunia to wafa ki dusman hai
dunia to wafa ki dusman hai
do pyar bhare dil walo ko
dunia me kahi aaram nahi
aaram nahi
tujhe chand kahu ya phul kahu
mere pyar ka koi nam nahi
haye nam nahi
mai teri najar me bas jau
dunia se mujhe koi kam nahi
haye kam nahi
Trivia: