Tum lakh chhupana

Movie Title:  Singapore

Year of the Movie Release:  1960

Music Director:  Shanker Jaikishan

Lyrics by:  Hasrat Jaipuri

Co-singers:  Mohammad Rafi

Mood of the Song:  Romantic Song

Lyrics of the Song

Tum lakh chhupana chahoge
Par payaar chhupa na paoge
Kachhe dhage se bandhe sarkar chale aaoge
Sarkar chale aaoge
Tum lakh jatana chaho
Par pyar jata na paoge
Dil ko thame hatho se
Khamosh chale jaoge
Khamosh chale jaoge
Tum lakh chhupana chahoge
Par payaar chhupa na paoge
Kachhe dhage se bandhe sarkar chale aaoge
Sarkar chale aaoge

Tumhare chehre ki rangat
To ye batati hai
Kisi ki yaad tumhe
Har pal satati hai
Ye uljhe baal mohabbat ka raz kahte hai
Kamal se nain khyalo me dube rahte hai
Tumhari chal me sokhi hai
Or sararat hai
Jarur tumko kisi na kisi se ulfat hai
Lo raz khul gaya ab kisliye chhupate ho
Jamana jan gaya hamko kyu banate ho
Tum lakh chhupana chahoge
Par payaar chhupa na paoge
Kachhe dhage se bandhe sarkar chale aaoge
Sarkar chale aaoge
Tum lakh jatana chaho
Par pyar jata na paoge
Dil ko thame hatho se
Khamosh chale jaoge
Khamosh chale jaoge

Tumhare hotho pe har bat kaap jayegi
Lagi ye dil ki kabhi juba par na ayegi
Batao kaise jataoge
Na hoga pura kabhi arzu ka ye spana
Tumhe ye pyar ki hasrat
Bahut satayegi
Kabhi rulayegi tumko kabhi hasayegi
Hamare kuje me aashik hazar aate hai
Magar jo aate hai wo hosh bhul jate hai
Tum lakh jatana chaho
Par pyar jata na paoge
Dil ko thame hatho se
Khamosh chale jaoge.

Trivia

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *